![](https://play-lh.googleusercontent.com/a/ACg8ocJG49mWiW7BPiR8bfjyas4zTo374V1XwOw6NVXrlcqpcH-3D2A=s32-mo)
rakesh Kumar
Dr. Bizay Sonkar Shahtri ji ye bat Praman sahit batane ki kripa karenge , ki Agar Charmkar jati ko Muslimon ne talawar ki nok par darakar Gande peshe karne ko majboor kiya kyonki wo Islam nahin swikaar kiye the, To aaj ki baki Babhan , Thakur aur Vaishya tatha anya 6000 se zyada jatiyan kya Islam swikaar kar li thi aur unse Gande karya nahin karaye gaye. Doosri baat Buddh ke samay ke itihaas me anek Achhoot jatyon ke varnan hai , tab to muslim bharat me the hio nahin, anek Achhoot jatiyon ka naam Vishva vikhyat hai jis safai karmi ko Buddh ne Sangh me shamil kar Bhikkhu banaya tha. Upali nai ko Bhikkhuniya neech jati kahkar pukarti thi , Kya tab muslim the. Iske aage manusmriti me jo Jatiyon ke utpann hone , unke kiye jane wale karya tatha unke Vivah sambandh Anulom ya vilaom kaise honge ye baten kahi gayi hain , wo kya Muslimon ne kari thi. Dr sahab ke paas koi tark nahin hai wo andhbhakt hokar kitab likhe hain, sirf Valmiki jatiyon ko Gulam banaye rakhne ke liye . Priya pathkon ek baat aur samjh len ki Koi bhi shashak agar dharm parivartan karana chahegi to wo janta ke chhote aur garib logon ka nahin balki sedhe raja ka Dharm parivartan karayegi , jab Raja hi islami grahan kar leta to Janta to raja ki gulam thi wo swatah hi islamik ho jati. Jais ki Ham Auranzeb aur Guru Teg Bahadur ke sambandh me samajh sakte hain. Patah Gan tark ko awashya istemaal karen, is farji kitab me koi tark ki baat nahin hai. "Chamar " Aryon se alag nasl hai, jise Aryon ne apne itihaas me rakshas , Asur , Kale Anasah, Daas (Naag) poorva deva, hain, sabse badi baat ye mooltah Kale hain Aur Rigved kahta hai ki Arya gaur varn ke the.. asal me aaj ke "Chamar" Chamar Totem(Yak or Bull) manne wale Naagvanshi hain, Baba sahab ne bhji yehi baat kahi hai ki ham log Arya nahin balki Naagvanshi hain. Arya alag Jati hai , naag alag Jati hai. Yahan Jati ka matlab Peshe se nahin balki Nasl (Race) se hota hai. asla me jati ko samajhna hai to is jat ki paribhasha jo anek samajshastryon ne di hai use samjho. Chamar wo hain jo Das ya dasyu kahe gaye hain, aur mahabaharat me saf ullekh hai ki dasyu , rakshas , asur we log hain jo Arya dharm ko nahin mante.
2 people found this review helpful