Prastut Pustak me batchit sambandhit vakyo ko padhkar aap Odia bhasha ka prayog Bazaar, Bus Stand, Office aadi jagho par asani se kar sakte hai. Yeh pustak un logo ko dhyan me rakhakar likhi gai hai jo hindi se Odiabhasha sikhne ke ichchhuk hai. Odiake kai vidvano tatha manovaigyaniko se pramarsh ke pashchat is pustak ka sankalan kiya gya hai. Pathako ki suvidha ke liye is pustak ko kul panch khando me bata gya hai. Pustak ke saath Audio CD sanlagan hai jiska upyog kar aap saraltapurvak Odiabol sakte hai.Pustak ke kuch pramukh ansh.Odiavyakaran se sambandhit Prayawachi Shabd, Vilom Shabd tatha Lokpriya Muhavaro ka prayog, Mahtvapuran Shabdavali me sharir ke vibhinn ang, aatmiy rishtedaron se sambandhit shabd, Khaad Samgri, Rog, Kide-Makodo, Janvaro ke Naam, Fal, Sabji tatha Vibhinn Dhatuo ke bare me jaankari di gai hai.Pustak me Kya, Kyon, Kuon, Kaise aadi shabdo ka prayog Bazaar, Bank, Daakghar, Railway Station, Bus Stand, Restaurant aadi jagho par kis prakar Odiabhasha me batchit kare iski vistrit jankari bhi di gai hai.Aavedan patra, Abhinandan patra, Mitra ko patra, Pustako ke liye Order kis prakar likhe iska bhi udaharan pustak ke antim khand me nihit hai.Pathako se anurodh hai ki Odiasikhne ke liye is pustak me diye gaye batchit ke ansho ko pratidin avashaya padhe.